Song Page - Lyrify.me

Lyrify.me

Aandhi by XR (Rap) Lyrics

Genre: rap | Year: 2020

[Verse 1 - XR]
OD 02 aur HR 29
Beat pe aawaz 2 kaatilaana dono
Hona a-mangal March ye 29
Diya itna saath ye ritorno dono
Oh no kaise ye zabaan meri fisli
Vapas apni bhasha pe na baitha main in italy
Hota jo naamdaar to ghum leta fir bhi
Kaam ye kala ka par na main Da Vinci
Shan-e-jahan ya fir shah-e-jahan
Farak koi na ant sabka hai nischit yahan
Nischint reh bus karmo pe dhyaan de
Sapno aur apno pe dhyaan de
Maa baap ka bhi haal thoda jaan le
Yaar tere zyada unki santaan ek
Sant na no bhiksha tu gyaan le
Santa no clause hai ye barfest
Harvest fal mehnat ka till last breath
Walter white cooking songs jaise dope meth
Cold/mess prateek aane waale ka
Holy wars sabka face off with the megadeath
Megaton naa hi door ab doomsday
Science ban rahi bane ab boon se
Abhi chup sab rehte ye ghoomte
Tarsenge paane ko boonde
Moond ke aankhen chalna tu band kar
Uthai awaaz na to bhaukna tu band kar
Kara khud na to haankha tu band kar
Haath pe haath rona kismat pe band kar
Jo tere paas na tu uski talaash mein
Jo tere saath wahi to tere tere khaas hai
Ehsaas jo dafan awaaz mein
Azaad kar uda le jab tak hai saansein
[Bridge - XR]
Kranti hai kranti hai lafzon se le kar aaye kranti
Aandhi hai aandhi hai sab shaant aane waali aandhi hai

[Verse 2 - Blobhit]
Tera bhai Dope sick Lit Sab kuch boi
Kehne ko kya hai?
Tera bhai Dope sick Lit Sab kuch boi
Kehne ko kya hai?
Tera bhai Dope sick Lit Sab kuch boi
Kehne ko kya hai?
Tera bhai Dope sick Lit Sab kuch boi
Kehne ko kya hai?
Kehne ka kya hai? Kehte toh kuch bhi log
Chot lagi jisko dukh bhi wo
Sehta aur sunta hai taane bhi wo
Hain baate banaane me maahir ye log
Faayda uthaane me shaatir ye log
Aate nazar na jab aati musibat
Mithaai jab batt ti tab haazir ye log
Pata ni kahan se ye bro?
Jawaani bitaayi sudharne me
Bigadte toh chutki bhar coke se
Main pehli saans se jigra hun
Jaise paida hua Stan Lee ki nok se
Likhaawat ye ashkon se bheegi
Lehrein un yaadon ki le jaati kheech ke
Akela pan dasta paata hun khudko main
Gehrey samandar ke beech me
Kinaara hai manzil
Na jaane kittni raatein hain bitaayi ummeed me
Kinaare si Zindagi
Khota hun khudko thoda har din main bhi ummeed me
Bujhaaye ni bujhti galey ki pyaas
Aur dil ki aag junoon ye
Bujhaane ko saansein thamaade
Ya ghadi tikaade ni waala main rukne
Ye bheed hai khaali bartanon ki
Sambhalne ko wazan nahi inpe
Ye gaana dhamka hai aisa
Naa rakhne ko milenge tukdey ginke
Machayenge aisi tabhai
Agar bacho to sehen nhi hona hai tumse
Aur khud hi dua karo ke
Kaash iss chakkar mein kabhi na ghustey