Song Page - Lyrify.me

Lyrify.me

SACHAAI | The Debut EP SACHAAI by XAMRAAT Lyrics

Genre: rap | Year: 2021

(CHORUS) "In Demonic Voice"
Nigahen Teri Qatil Na Tujhko Rihaai Du
Tarz-E-Lafz Jese Adalat Me Gawahi Du
Katghare Khol Me Muh Pe Sachhai Du
Bura Hu Sidhi Baat Me Kahe Ki Safaai Du

(VERSE 1)
Likh Ke Gazal Bhul
Jaate Hum Aaj Bhi
Sachaai Ye Gaana Par
Soch Ka Ilaaj Nahi
Hidden In Da Heart Wo
Sare Mere Raaz Bhai
Livin In Da Heart
Chahiye Koi Humraaz Nahi
Highest In The Zone
Koi Aaspaas Nahi
Ye Log Saare Jalte
Ho Jaate Kyu Khaak Nahi
Aapka Yaha Naam Nahi
Aapka Yaha Kaam Nahi
Chaliye Huzur Yaha
Mout Ka Ilaaj Nahi
Ye Wohi Raat
Wohi Din
Ye Wohi Sham Nahi
Ye Wohi Khat
Wohi Alfaaz
Ye Wohi baat Nahi
Ye Wohi Lafz
Wohi Rawani
Ye Wohi Saaz Nahi
Hath Pair Marlo
Aana Hai Kuch Hath Nahi
Patjad Me Gire Patte
Girti Shakh Nahi
Bij Bo Kar Madar Ke
Khayega Tu Aam Nahi
Put Self Esteem High
Khudko Samjo Aam Nahi
Keep Yourself Pushing
Kabhi Karna Aaram Nahi
(CHORUS) ×2
Nigahen Teri Qatil Na Tujhko Rihaai Du
Tarz-E-Lafz Jese Adalat Me Gawahi Du
Katghare Khol Me Muh Pe Sachhai Du
Bura Hu Sidhi Baat Me Kahe Ki Safaai Du

(VERSE 2)
Jante Hai Sukh
Jayenge Sham Ko
Fir Kyu Gulab
Har Subah Khilte Hai?
‌Sabhi Dharmon Ki
Ekta Hai Hindustan
Fir Kyu Dange-Fasad
Ye Log Karte Hai?
‌Khoon Toh
Sabhi Ka Laal Hai
Fir Me Hindu Tu Musalman
Kyu Ye Log Karte Hai?
‌Na Lekar Jayenge
Paisa Na Ek Pai;
Fir Kyu Hisab-Kitaab
Ye Log Karte Hai?
Logo Se Durr Me
Logo Se Alag Hu
Magroor Me Khud Me
Khud Hi Me Choor Hu
Kuch Saal Pehle
Piche The Mere Qafile
Qalam Jihadi
Kar Liye Sabse Fasle
Khud Se Ladte Fir
Raat Bhar Jaagte
Khud Aansu Khud Hi Se
Taqleefein Bant'Te
Faste Nahi Kyu
Laalach Se Durr Bhagte
Thakte Nahi Beat Se
Gahere Mere Raabte
(OUTRO)x2
Kis Kaam Ka Wo Aaina
Jo Sach Samne Laye Na
Karo Ek Dafa Ka Zikar
Bulaya Aur Aaye Na
Tujhse Ladu Isse Achha Me Gum Rahu
Kyu Jooth Bolu?
Isse Achha Me Chup Rahu
Doob Maru Ya Fir Gum Sum Rahu

(CHORUS)
Nigahen Teri Qatil Na Tujhko Rihaai Du
Tarz-E-Lafz Jese Adalat Me Gawahi Du
Katghare Khol Me Muh Pe Sachhai Du
Bura Hu Sidhi Baat Me Kahe Ki Safaai Du