Khamakha by Vishal Bhardwaj Lyrics
Halki halki aahen bharna
Takiye mein sar de ke dheeme dheeme
Sargoshi mein baatein karna
Pagalpan hai aise tumpe marna
Ubla ubla kyun lagta hai
Ye badan, ye jalan to khamakha nahi
Ye khalish jo hai, wo khamakha nahi
Haan tapish to hai, par khamakha nahi
Jo nahi kiya, kar ke dekhna
Saans rok ke, mar ke dekhna
Ye bewajah, besabab, khamakha nahi
Ye khaamakha nahi...
Saari saari raat ka jagna
Khidki pe sar rakh ke rote rehna
Ummeedon ka jalna bujhna
Paagalpan hai aise tumpe marna
Khaali khali do aankhon mein
Ye namak, ye chamak, to khamakha nahi
Fikr rehti hai, jo khamakha nahi
Zikr rehta hai, jo khamakha nahi
Ashq aankhon mein, bhar ke dekhna
Aaina kabhi darr ke dekhna
Ye bewajah, besabab, khamakha nahi
Deewangi sahi, ye khaamakha nahi
Majnu to hain, par khamakha nahi
Takiye mein sar de ke dheeme dheeme
Sargoshi mein baatein karna
Pagalpan hai aise tumpe marna
Ubla ubla kyun lagta hai
Ye badan, ye jalan to khamakha nahi
Ye khalish jo hai, wo khamakha nahi
Haan tapish to hai, par khamakha nahi
Jo nahi kiya, kar ke dekhna
Saans rok ke, mar ke dekhna
Ye bewajah, besabab, khamakha nahi
Ye khaamakha nahi...
Saari saari raat ka jagna
Khidki pe sar rakh ke rote rehna
Ummeedon ka jalna bujhna
Paagalpan hai aise tumpe marna
Khaali khali do aankhon mein
Ye namak, ye chamak, to khamakha nahi
Fikr rehti hai, jo khamakha nahi
Zikr rehta hai, jo khamakha nahi
Ashq aankhon mein, bhar ke dekhna
Aaina kabhi darr ke dekhna
Ye bewajah, besabab, khamakha nahi
Deewangi sahi, ye khaamakha nahi
Majnu to hain, par khamakha nahi