Song Page - Lyrify.me

Lyrify.me

Zyadti by The Gunsmith Lyrics

Genre: rap | Year: 2021

[Verse 1 - The Gunsmith]
Hoon main NRI ladka, fir bhi dil hai Hindustani
Gunsmith ne khud ki beat pe aake pralay hai machaani
Pehle raakshas tha mujh mein, us ki laash ab dubota hoon
Par flow mera pavitra, is mein paap apne dhota hoon
Aur sach kahoon, aaj tak to hinsa na sikhayi
Kyunki ginta raha rab ki den aur chinta na badhai
Par aaj nikli dahaad hai... yeh rap nahin prahaar hai
Yeh facts ki ek bauchaar hai, koi stacks nahin, impact to beshumaar hai
In ladkon ne chura ke jeb bhari
Bas karo ab yeh taskari, band karo maskhari
Chala manzil tak main kaanch par, na koi bus kari
Bars jaise main behind bars with a hathkadi
Jaago, kadak chai vaala geet, mere shabd hain malai
Hindi rap ki mashal maine haq se jalai
Apni dreams ki patang, khud hi chhat pe udayi
Nahin chahiye tera takht, mere rakht mein sachchai

[Chorus - The Gunsmith]
Na jaane kiski dua mere saath thi
(Toota main nahin) jab zindagi ne mujhe maat di
(Tha mahboor) lekin soch meri aazaad thi
(Hua main riha) aaj karni hai zyadti
Na jaane kaise zinda fariyaad thi
(Jab ankhein mеri band) aur bandhe the merе haath bhi
(Tha majboor) lekin soch meri aazaad thi
(Hua main riha) aaj karni hai zyadti
[Verse 2- XR]
Kadam pe kadam tip top ka na khel ye
Sunate real tik tok ki na sale ye
Bazaar big na par big hona name ye
Ready to die rakha kya hi hai stakes mein
States wala nhi main fate bait waala nhi
Hate waala nhi main cheenta niwala nhi
Going eazy karne aa raha hoon carnage
Gwala nhi par avatar ho wo gwala wahi
Uchala seedha dekho bad luck wo saamne se
Homerun ya 6 bus jeetne hi aa rha bhai
Jeetne waala nhi ya jeet ke wo hara nhi
Haan har ke na jeeta fir jitan da fayda ki
Behne laga pani sa ab kaun rokega
Hua ladka ye khada kahi fir bhi na haan sadega
Hai maa ne sikhaya jo ada wahi pehle girega
Hai paa ne kaha na darna tu kabhi tufaan se
Jo dara tufaan se to tufaan kaise banega
Ufaan kaise banega mahaan kaise banega
Mahan banne se pehle insaan acha ban lena
Ab aakhri saans tak XR bhi na thamega

[Chorus - The Gunsmith]
Na jaane kiski dua mere saath thi
(Toota main nahin) jab zindagi ne mujhe maat di
(Tha mahboor) lekin soch meri aazaad thi
(Hua main riha) aaj karni hai zyadti
Na jaane kaise zinda fariyaad thi
(Jab ankhein meri band) aur bandhe the mere haath bhi
(Tha majboor) lekin soch meri aazaad thi
(Hua main riha) aaj karni hai zyadti
[Verse 3 - The Gunsmith]
Raaste ka patthar maine haath se hi toda tha
Aur haadse hue the jab to khwab ko tatola tha
Insaniyat hai taraazu apne aap ko hi tola tha
Aur barf ki aandhi ne jaana aag ka main gola tha
Chaudan saal se rapper hoon main, dum hai tabhi fefdon mein
Samudra ka shikari, ruchi nahin hai kekdon mein
Vishvaas se vishv ko bola virodhi bhej mujhe
Rab main banda, kaun pohonchaega thes mujhe
Heere bante hain tanhai ke vazan se
Bachpan mein dekhi bohot tabaahi thi vatan mein
Ghalib tha main mann se naabalig tha jab tan se
The Gunsmith reloaded, matlab syahi hai kalam mein
Indraprastha ki paidaish aur main sakht kaam karta hoon
Aur subs ki zaroorat nahin, main spasht baat karta hoon
Hindi rap ka na kabhi bhrasht naam karta hoon
Bas beat pe saara ka saara kasht aaj dharta hoon

[Chorus - The Gunsmith]
Na jaane kiski dua mere saath thi
(Toota main nahin) jab zindagi ne mujhe maat di
(Tha mahboor) lekin soch meri aazaad thi
(Hua main riha) aaj karni hai zyadti
Na jaane kaise zinda fariyaad thi
(Jab ankhein meri band) aur bandhe the mere haath bhi
(Tha majboor) lekin soch meri aazaad thi
(Hua main riha) aaj karni hai zyadti