Intezaar by Saad Khan Lyrics
1st verse:
Haal o behaal sa haal hai
Manzil pe toh jese chaa chuka kaal ae
Kamal ae ye duniya jo rakhti khyal
Ooper se pr andar se kaid karen jaal mein
Jaal bichatay jo aatay nazar na
Honay dete hein zra khabar na
Fikr na ho jinse wo kaat'te jaib hein
Dar na ho jinse wo krte fareb hein
Apne aapse krta hoon baaten
Bankay zehr jo dil mein samaatay
Zariya sukoon hi krjata khoon ab
Samajh se bahir hai chalen kis raah pe
Kaantay bichatay hein raaste mein apne
Umeed pe kaaim yakeen hai rab mein
Phir bhi na dil leta saans sukoon ka
Aankhon se dekhun jb toot'tay sapne
Kache dhaage hamdardi ye waqti
Uljhi si baaton mein soch bhatakti
Rooh ko na milta sukoon ik pal
Pareshani jo aakay zehen se chipakti
Kismat ko koson ya karun sabar main
Andhere mein karun aur kitna safar main
Umeed mein waqt na beet jae itna
K bistar ko chorh k sojaun kabar mein
2nd verse:
Mana zamana hai kafi kharaab
Tum logon k liye ho jese sharaab
Kuch waqt ka nasha tu mukana tujhe bas
Aur aagay ki zindagi teri azaab
Apne anjaam ka zra na hosh
Insaniyat nahi ye saare madhosh
Khali hein seenay na seenay mein dil inke
Banjatay apne sagon k katil
Dikhta hai sirf inhe apna nafa
Na krte parwa k kon hua khafa
Hastay bebas pe hein roktay rastay
Bebas ko tarpanay ka lete maza
Yahi asool yahan k
Yakeen hein krte aur thokaren khaate
Par hosla dene ajata zameer
Jis waja se chal, rahi hein ye saansen
Eitbaar bhi lagay bekaar
Galay mein hath aur dilon mein khaar
Tangg hoon main khudse main khudse bezaar
Par khudko de deta hoon mauka har baar
Toh krte sabar jese kiya har baar
Thora teherte na maante haar
Aansu poch k phir aik baar
Chalo achay dinon ka karay intezar...
Haal o behaal sa haal hai
Manzil pe toh jese chaa chuka kaal ae
Kamal ae ye duniya jo rakhti khyal
Ooper se pr andar se kaid karen jaal mein
Jaal bichatay jo aatay nazar na
Honay dete hein zra khabar na
Fikr na ho jinse wo kaat'te jaib hein
Dar na ho jinse wo krte fareb hein
Apne aapse krta hoon baaten
Bankay zehr jo dil mein samaatay
Zariya sukoon hi krjata khoon ab
Samajh se bahir hai chalen kis raah pe
Kaantay bichatay hein raaste mein apne
Umeed pe kaaim yakeen hai rab mein
Phir bhi na dil leta saans sukoon ka
Aankhon se dekhun jb toot'tay sapne
Kache dhaage hamdardi ye waqti
Uljhi si baaton mein soch bhatakti
Rooh ko na milta sukoon ik pal
Pareshani jo aakay zehen se chipakti
Kismat ko koson ya karun sabar main
Andhere mein karun aur kitna safar main
Umeed mein waqt na beet jae itna
K bistar ko chorh k sojaun kabar mein
2nd verse:
Mana zamana hai kafi kharaab
Tum logon k liye ho jese sharaab
Kuch waqt ka nasha tu mukana tujhe bas
Aur aagay ki zindagi teri azaab
Apne anjaam ka zra na hosh
Insaniyat nahi ye saare madhosh
Khali hein seenay na seenay mein dil inke
Banjatay apne sagon k katil
Dikhta hai sirf inhe apna nafa
Na krte parwa k kon hua khafa
Hastay bebas pe hein roktay rastay
Bebas ko tarpanay ka lete maza
Yahi asool yahan k
Yakeen hein krte aur thokaren khaate
Par hosla dene ajata zameer
Jis waja se chal, rahi hein ye saansen
Eitbaar bhi lagay bekaar
Galay mein hath aur dilon mein khaar
Tangg hoon main khudse main khudse bezaar
Par khudko de deta hoon mauka har baar
Toh krte sabar jese kiya har baar
Thora teherte na maante haar
Aansu poch k phir aik baar
Chalo achay dinon ka karay intezar...