Song Page - Lyrify.me

Lyrify.me

ZAKHMI KALAM by HARF KALA Lyrics

Genre: rap | Year: 2020

CHORUS -

Goom tu
Gumrah ye duniya kare kyun
Sapney hai tootey
Marham na Miley
Zakhmi kalam ye
Marg likhey

VERSE-

Kapti andhe aarambh ko baitha
Andekha karta
Wo sach jo raqt mein lipta
Bekhauf hai behta (haan)
Main khud mein sair karun
Main khud mein hi bs qaid rahoon
Wajood ye khud ka main sambhalu
Khud pe gaur karu
Doojon ko mauka na ke fir se mujhko todey wo
Bs khud ke kaam main laye
Aur fir mujhko chodey wo
Mauke pe caahat thi, koi to mujhko samjhega
Mukhautey dekhe bas, aur neeyat se anjaan main tha
Qaidi main khud ka, par khudse na vair
Khud, sudh-budh yudh mein khoya na
Khoye paraye par yaha tak jo aaye sang mere
Sapne hai, apne hai
Harf-e-kalam, kare kalam
Ugley hai raqt, bhare zakham
Amar yе geet, bajey sangeet
Kaath ki handi ko haami na
Na mere hathi kе dant
Bin . . . Baarish barsaat
Chale jo v mere sath
Jaane wo hi meri pyaas
Jaane wo hi mera pyaar
Main hi to tha, khud ke sath
Poochey tu apne khuda se to janega
Na mera koi . . . Parwardigaar
Tera na PARWANA aaj, PARWAH Na aaj
Dil-e-barfila mijaaz, (yeah)

Khud ke swarth mein khuda nacha re log
Khuda na caahoon main
Khuda gawah tera, khud na manu main
Maloom hai kafi main kafir hoon
Akhir musaafir hoon
Kayar na shayar ye
Caahat ke duniya badal doon
Caahat ke caahat se mil lu (Aye)
Karam kare kalam-kala sab pe
Wafa, haya, fanaa hua tifl ye
Tishnagi-dillagi hiphop se
Din jala, raat jaga likha khwab main
Utha, chala, badha, gira fir main
Hara nahin utha, seekha fir main
Harf mere ashk, panne dil hai
Dil jala, dil likha maine dil se
CHORUS-

Goom Tu
Gumrah ye duniya kare kyun
Sapney hai tootey
Marham na Miley
Zakhmi kalam ye
Marg likhey