Song Page - Lyrify.me

Lyrify.me

Shanti by Dank Rishu Lyrics

Genre: rap | Year: 2020

[Verse 1: Sammad]
Intezar kiya baj gaye chaar
Shuru kiya inqilab, inke khilaaf
Ab toh pehenta hoon gende ka haar
Jhadu ko chhor kyun kare hum saaf

Parda utha, dekh meri aankh
Jalan se nahi jalti ye aag
Mukkhi band rakh, sar mein thand rakh
Ab dikhaun jannat ka rakshak

Bhatakta raha jaise nadi zanskar
Koi phenkta hai paisa, koi leta udhaar
Ant mein toh sabka hua daah-sanskaar
Aur ant mein toh sab gaye taboot bazaar (maar daala)

[Chorus: Sammad]
Gale mein taar, munh mein dhuwa
Maan li haar, aashman ko chua
Purana samachaar, mujhe chahiye dua
Kya main paaunga is kranti mein shaanti?
[Verse 2: Dank Rishu]
Kranti toh hogi jab
Shanti toh milegi tab
Bura waqt hai rukta kab
Ha vai kiski? badhiya sab?

Gold Play toh aagaya
Par izzat gawa gaya
Controversy kiski
Aur views kon daba gaya?

Saaf na ho Youtube toh...
Hai mere liye paap ye
Mere liye duty...
Toh inke liye shraap hai

Naam sune Rishu toh...
Ye saare darr se kaape
Kick kar deta hoon main balls...
Saare shot m’baap pe

Bachpan se hi chaukidaar...
Raat ko jaa ke karte kaam
Art koo bechna pashand nahi...
Lagta nahi hai iska daam
Stream ho jati meri...
Bagair Sutte aur Chivas ke
Youtube scene adhura bin.... (maar daala)
Vaus and Piggas ke

Sachhe rachnakaro ki sankhya hai kam (kam)
Acche rachnakaaro ki kalpana bas bharam (bharam)
Content ya jokes, inke kya hai jyada poor? Saare scene pe aag laga de ek akela suar

[Verse 3: Karun]
Qaid meri baatein, lekin jo daali sar khuja ke Band saari kamro mein ye mujhse bhaage
Lambi raatein, Ittefaq kadwi yaadein
Dil mein chubhte jhoothe waade

Raag saare chhedte ye...
Dukh mijaazi man ke maare (maar daala)

[Verse 4: Kuns]
Hip-Hop ke form mein kara drop ek aur flop
Mere shauq sunoge toh lagega shock
Pehne maine joote na sock
Kya tera khauf?

Aaya hoon laut ke maut ke kuwe se
Paseena ponch ke mandir hum pahunch gaye
Sapoot mein lekin mandira khoon mein
Saboot yeh shaksiyat khadi door mein
Tera guroor, meri dhool mein
Tujhe sab bhul gaye
Main rehta asli jaise...
Khushboo is phool mein (Maar daala)

Meri dhool mein
Tujhe sab bhul gaye
Main rehta asli jaise...
Khushboo is phool mein

Is phool mein, is phool mein

[Verse 5: Tarun]
Rogo ka rog apne shabdon mein baha doon Jhonko ko rok, sapno ko dil mein jagah doon Sama loon, suljha doon
In maaanjho ko, ganjo se door

Tum laangho
To mile mera makaan
Daodu main gauru par, sar kabhi nahi
Chadhi-badhi yeh thakaan

Saari ki saari fankaari, zimmedaari insaano ki
Guzrey zamaano ki, sone ki khaano mein (maar daalo)

Sone ki khaano mein sach saara lipta-nipta Dikhta naye daur mein khauf se bharpoor Paise ko maane baap
Saanp jaisi soch kare phir maut bhi kabool

[Chorus: Sammad]
Gale mein taar, munh mein dhuwa
Maan li haar, aashman ko chua
Purana samachaar, mujhe chahiye dua
Kya main paaunga is kranti...

Gale mein taar, munh mein dhuwa
Maan li haar, aashman ko chua
Purana samachaar, mujhe chahiye dua
Kya main paaunga is kranti mein shaanti (maar daalo)