Song Page - Lyrify.me

Lyrify.me

Tha Ek Waqt by ATIV Lyrics

Genre: rap | Year: 2020

Mili tujhe raahat ho
Jab di tune mujhe aafat woh
Jab dukh ke aansu hi dene the
Toh nazron ka sukh kyu diyaa in aankhon ko

Sun ke naa suna, ansunaa karo
Daleelein de rha pyaar ki tumko
Par dete apne yeh faisle
Areh bhalaa kaisi toh adaalat ho

Ab waps aa gye wahi, jab anjaan the, na jaante the
Tab toh tha vaakay, par ab jaanke bhi naa jaante hai

Jo baatein kabhi hoti roz thi
Ab hissa hai woh meri soch ki
Hai raat bhi ab mujh sang sochti
Kya maine iss din ki kari khoj thi

Haan baitha main rha chup
Chadhaa na rog, par rehne laga gupt
Jaanna chaahu kya main paau
Par sacchai hai ant, aur hona vilupt
Kahan sapne, grah pravesh
Par tujh sang hote mere grah kalesh
Koshish wapas laane ki magar
Jab katha mein na prem, to kya aapsi gadar

Tha ek waqt, jab duaa hoti thi har tere naam ki hi
Par ab padta na farq, lagta nahi rhi wo kabhi kaam ki bhi
Pyaar tha saccha tu na anjaan thi, sab jaanti thi
Maanga tha bas haqq ka, Par tu meri kahan maanti thi *2

Meri duniya tu, aur yeh duniya mujhko ab lagti jhooti
Kara mera kill, maine diya apna dil, rakhle yeh teri loot thi
Galti thi kiski, padtaal ke saath zarurat jaanch ki bhi
Madhosh rha us sang hamesha, jaise wo meri jhaanj si thi

Yeh mohabbat karte log, par rakhte bas shareer ki bhookh hi
Kasoor aakhir kya tha mera, maine tujhko di apni rooh thi
Khair accha hua jo bhi the kiye huye tode tune apne waade har
Kam se kam isi bahaane hue thode bojh kam iss kaandhe par

Tu ek mera raaz thi, jo baat thi, wo khaas thi tujhme par
Jo hua wo bhi laazmi, ehsaas ki saans ki wo baat thi magar
Kehne ko hai ab lafz nahi, beshaq, ab iss baat pe koi shaq nahi
Bewaqt kahin, the hum yahin, par ab tujhpe mera koi haqq nahi

Chorh chuka wo saari raatein, teri meri jb hui baatein
Ab khaufnaak sapne sa aake, hai sataate mujhko banke yaadein
Mulaaqatein hui kam, use maanta ab main saugaatein
Kyuki tab naa shayad hum aise yahan reh paate
Tha ek waqt, jab duaa hoti thi har tere naam ki hi
Par ab padta na farq, lagta nahi rhi wo kabhi kaam ki bhi
Pyaar tha saccha tu na anjaan thi, sab jaanti thi
Maanga tha bas haqq ka, Par tu meri kahan maanti thi